kabhi na kabhi toh aayegi voh
dekhte hi muzhe thoda sharmayegi vo jaha bhi hogi usey dhoond laaunga main aur fir meri ho jayegi voh uski baato me chintaa hogi mere liye mere bina ek pal bhi na reh payegi voh khushiya de dunga usey jamaane bhar ki itni ki khush hoke gale se mere lag jaayegi voh shaayad vo shaamil ho isi mehfil mein kahi naa bhi ho to kabhi na kabhi toh ayegi Voh |
Jeene kaa matlab |
Jeene kaa matlab humne mohabat mein paa liyaa
jiskaa bhi gam milaa usey apnaa banaa liyaa aap ro kar bhi gam ko halkaa naa kar sake hamne hansi ki aad mein har gam ko chhuupaa liyaa |
Meri Najar Mein Rehti Hai |
Meri Najar Mein Rehti Hai Ek Khwaab Si Ladki
Ke Jaise Saans Leti Hui Mehtaab Si Ladki Main Ussey Faasla Na Rakhta To Aur Kya Kartaa Main Hawaon Sa Paagal.. Woh ek Chiragh Si Ladki Use Sunaa Nahi.. Mehsoos Kiya Hai Maine Har Ek lafz Pe Chup Hai Woh ek Kitaab Si Ladki Darmiyaan Mein Hamare Hazaron Hijaab Hain Lekin Phir Bhi Zaahir Hai MujhPe Woh Naqaab Si Ladki Uske Saamne Mein Be-Zubaan Sa Reh Jaata Hun Kai Sawaal Liye.. Woh Jawaab Si Ladki |
Na jaane kyu har shyaam udaas si ho gayi hain |
Na jaane kyu har shyaam udaas si ho gayi hain
Bahaar mein bhi meri zindagi veeran si ho gayi hain Jis pal se maine jeene ki khwaahish chhod di hain Us pal se maut bhi mujhse naraaz si ho gayi hain |