Saturday, July 7, 2012

Kabhi naa kabhi

Kabhi naa kabhi
kabhi na kabhi toh aayegi voh
dekhte hi muzhe thoda sharmayegi vo
jaha bhi hogi usey dhoond laaunga main
aur fir meri ho jayegi voh
uski baato me chintaa hogi mere liye
mere bina ek pal bhi na reh payegi voh
khushiya de dunga usey jamaane bhar ki itni
ki khush hoke gale se mere lag jaayegi voh
shaayad vo shaamil ho isi mehfil mein kahi
naa bhi ho to kabhi na kabhi toh ayegi Voh

Jeene kaa matlab
Jeene kaa matlab humne mohabat mein paa liyaa
jiskaa bhi gam milaa usey apnaa banaa liyaa
aap ro kar bhi gam ko halkaa naa kar sake
hamne hansi ki aad mein har gam ko chhuupaa liyaa

Meri Najar Mein Rehti Hai
Meri Najar Mein Rehti Hai Ek Khwaab Si Ladki
Ke Jaise Saans Leti Hui Mehtaab Si Ladki
Main Ussey Faasla Na Rakhta To Aur Kya Kartaa
Main Hawaon Sa Paagal.. Woh ek Chiragh Si Ladki
Use Sunaa Nahi.. Mehsoos Kiya Hai Maine
Har Ek lafz Pe Chup Hai Woh ek Kitaab Si Ladki
Darmiyaan Mein Hamare Hazaron Hijaab Hain Lekin
Phir Bhi Zaahir Hai MujhPe Woh Naqaab Si Ladki
Uske Saamne Mein Be-Zubaan Sa Reh Jaata Hun
Kai Sawaal Liye.. Woh Jawaab Si Ladki

Na jaane kyu har shyaam udaas si ho gayi hain

Na jaane kyu har shyaam udaas si ho gayi hain
Bahaar mein bhi meri zindagi veeran si ho gayi hain
Jis pal se maine jeene ki khwaahish chhod di hain
Us pal se maut bhi mujhse naraaz si ho gayi hain