Tuesday, August 9, 2011

Ho Gaya


Mujhe se rukhsat hue usey ek zamana ho gaya
dil par jo tha daag ab wo bhi purana ho gaya
dekho kya taazgi hai aaj bhi naam main unke
lete hi ye gummo ka mausam suhana ho gaya
tarjuma umr ka sath na de saka der tak uska
mera aaine ka tarjuma ab buzurgana ho gaya
kyon na shikayatain apne dushmano se karu
zeher jo aapne ne diya wo haqimana ho gaya

mere saaqi ki kya khata ke hai wo abhi naya
chalak ke un ankho se gira paimana ho gaya
maikado ki is bhid se ghabraa gaya tha dil
gaalib mile kal mera ghar mikhana ho gaya
wo jinki khatir majnu fira sehra main ek umr
suna ki laila ne kaha majnu diwana ho gaya
wo zakhm de de kar mera imtehaan lete rahe
jurm mera zakhmo per aansu bahana ho gaya

dil hi tha ke khud ko ujadta dekh raha tha
umiddo se sajaya tha jise ab virana ho gaya
kabhi tha hum per karam to ab sitam bhi nahi
kal tak jo tha apna yahan ab begana ho gaya
maine apni mazar per padha hai fateha
ab khudkushi un se dosti nibhana ho gaya

No comments: